Aainaa apni nazar se naa judaa hone do,

Aainaa apni nazar se naa judaa hone do,
koi dum aur bhi aapas mein zaraa hone do

kum nigaaho.n mein ishaaraa hai, ishaaro.n mein hayaa
yaa na hone do mujhe chain se, ya hone do

haath baandhe hue aghiyaar ke saath aaoge,
hum dikhaa denge mazaa, roze jazaa hone do

hum bhi dekhe.n to kahaan tak na tawajjoh hogi,
koi din tazkiraa e ahle wafaa hone do

aankh malte hi kahoo.n khaak haqeeqat dil ki,
dekh kar jalwaa mere hosh bajaa hone do

tum dil e aazaar bane rashke maseehaa kab se
kab na hone do, mera dard sivaa hone do

meri aankho.n pe mere munh pe tum na rakho haath,
harfe matlab kisi soorat se adaa hone do

lutf samjho to raqeebo.n se baDhaa do mujhko,
sair dekho to koi fitnaa bapaa hone do

Jab sunaa ''Daagh'' koi dum mein fanaa hotaa hai,
Us sitamgar ne ishaare se kahaa hone do

Daagh Dehelwi

Comments

Popular Posts