aashiq hai aur iztaraar karna.
yek ja na kahe,n qarar karna
aye ishq qasam hai , qatl gah main
pahlay tu idhar he waar karna
zalim hain teri ye chashm, Qaatil
aashiq se inhe.n na chaar karna
aye waada khilaaf, kab tak ye
be fayda intazaaar karnaa
aashufta dilo.n ko mat satana
zulfo,n ko na shana, yaar karna
Khwaajaa Meer Dard
Comments
Post a Comment