Abhi farmaan aaya hai wahaan se'
Keh hatt jaoon main apny darmiyaan se
Yahan ho hai tanaffus hi mein gum hai
Parinde udh rahe hain shaakh e jaan se
Dareecha baaz hai yaadon ka aur main
Hawaa suntan hoon pedon ki zubaan se
Zamaana tha who dil ki zindagi ka
Teri furqat ke din laoon kahaan se
Thaa ab tak maarka baahar ka dar-pesh
Abhi to ghar bhi jaana hai yahaan se
Falaan se thee ghazal behtar falaan ki
Falaan ke zakhm achche they falaan ke
Khabar kya doon mein shahar e raftagaan ko
Koi laute bhi shahar e raftagaan se
Yeh hi anjaam kya tujh hawas tha
Koi poochhe to meer e dastaan se
Jaun Elia
Comments
Post a Comment