Agar apni chashm e nam par mujhe akHtiyaar hotaa,
to bhalaa ye raaz e ulfat kabhi aashkaar hotaa !

Hai tunak mizaaj sayyaad kuch apnaa bas nahi.n hai,
main qafas ko le ke uDaataa agar ikHtiyaar hotaa

ye zaraa si ik jhalak ne dil o jaa.n ko yoo.n jalaayaa,
tiri barq e husn se phir koi kyaa do chaar hotaa

aji taubaa is garibaa.n ki bhalaa bisaat kyaa thi,
ye kaho ke haath uljhe nahi.n taar taar hotaa

wo naa aate faatiha ko zaraa muD ke dekh letaa,
to hajoom ''yaas'' itnaa naa sar e mazaar hotaa

Mirzaa Yaas Yaagaanaa Changezi

Comments

Popular Posts