Agar ho sake to..

Naa ghabraaeyegaa, agar ho sake to
chale aaeyegaa, agar ho sake to

tumhaaraa pata har GHataa ko bataakar,
hawaao.n ko qaasid e ulfat banaakar,
kahaa maine unse ye aansoo bahaakar
unhe laaeyegaa, agar ho sake to
chale aaeyegaa, agar ho sake to

hume.n maar Daale.n naa patjhaD kaa mausam,
na ban jaaye kHushiyaa.n GHaDi bhar mein maatam,
main gul hoon, zaraa aap bankar ke shabnam,
baras jaaeyegaa, agar ho sake to
chale aaeyegaa, agar ho sake to

agar na suni.n, tumne dil ki sadaaye.n,
mere haal par ro paDengi GHataaye.n
taDapkar ke dum toD dengi fazaaye.n
taras khaaeyegaa, agar ho sake to
chale aaeyegaa, agar ho sake to

naa ho zakHm dil par mohabbat ka gahraa,
nahi.n toD paao jo rasmo.n ka pahraa,
to mayyat mein meri ye ghumgeen chehraa
naa dikhlaaeyegaa, agar ho sake to
naa GHabraaeyegaa, agar ho sake to

Jigar Sheopuru

Comments

Popular Posts