Ajab paagal si laDki hai ..

Ajab pagal si larki hai
Mujhay har khat main likhti hai
Mujhay tum yaad kartay ho
Tumhain main yad aati hon
Meri batain satati hain
Meri neendain jagati hain
Meri ankhain rulati hain
December ki sunehri dhoop main..ab bhi tehaltay ho
Kisi khamosh rastay say koi awaz ati hai..
Thetharti sard raton main tum ab bhi chat pay jatay ho..
Falak k sab sitaron ko meri batain sunatay ho..
Kitabon say tumharay ishq main koi kami ayi
Ya meri yad ki shiddat say ankhon main nami ayi..
Ajab pagal si larki hai
Mujhay har khat main likhti hai..
Jawaban usay likhta hon..
Meri masroofiat dekho..
Subh say sham office main.. chiragay umr jalta hai
Phir us k baad dunya ki.. kayi majboorian pa'on main berhian dal rakhti hain
Mujhay be fikr chahat say bharay sapnay nahin dikhtay
Tehalnay,jagnay,ronay ki muhlat hi nahin milti
Sitaron se milay ab arsa huwa..... naraz hon shayad...
Kitabon say shagaf mera.. abhi wesay he qayam hai
Farq itna para hai ab unhain arsay main parhta hoon
Tumhain kis nay kaha pagli
Tumhain main yaad karta hoon
K main khud ko bhulanay ki musalsal justujo main hoon
Tumhain na yaad anay ki musalsal justujo main hoon
Magar yeh justujo meri buhat nakam rehti hai
Meray din raat main ab b tumhari sham rehti hai
Meray lafzon ki har maala tumharay naam rehti hai
Tumhain kis nay kaha pagli tumhain main yaad karta hon
Purani baat hai jo log aksar gungunatay hain..
Unhain ham yaad kartay hain...jinhain ham bhul jatay hain
Ajab pagal si larki hai
Meri masroofiat dekho
Tumhain dil say bhulaoon to tumhari yaad aye na
Tumhain dil say bhulanay ki mujhay fursat nahin milti
Aur is masroof jeevan main...
Tumharay khat ka aik jumlaaaa...
Tumhain main yaad ati hon
Meri chahat ki shiddat main kami honay nahin deta
Buhat ratain jagata hai..mujhay sonay nahin deta
So agli baar khat main yeh jumla nahin likhna
Ajab pagal si larki hai mujhay phir b yeh likhti hai
Mujhay tum yaad kartay ho
Tumhain main yaad ati hon !!


Nosh Gilaani

Comments

Popular Posts