ajeeb haal tha oss dasht ka mai aaya to
na khaak thi na koi khaak udhaane waala tha
tamaam dost alaao k gird jama they aur
har aik apni kahaani sunaane wala tha
kahaani, jiss me yeh duniya naye thi, achhi thi
aur iss pe waqt, bura waqt aane wala tha
bus aik khawab ki doori pe hai wo shehr jaha.n
mai apne naam ka sikka chalaane wala tha
Idrees Baabar
Comments
Post a Comment