AndokHtaa

Kohraa, neelaa baseeto baland aasmaa.n,
itnaa kHaamosh, Thahraa hua, pur suqoo.n
is tarah dekhtaa hai mujhe jaise main
apne gal'le se bichuDi hui bHeD hoon

tum kahaan ho meri rooh ki raushni,
tum to kahti thi.n ye dard paaindaa hai,
tum kahaa.n ho, mere raasto.n ke diye
bujh gaye phir bhi har cheez taabindaa hai

main milo.n kaarkhaano ke bujhil dhuwe.n,
qahbaa khaano ki maghmoom taabindgi
kaahino.n ki mohabbat ka fuzlaa jise
rabbe maujoodo maadoom ne bakHsh di

daaymi zindagi tumhaare liye,
Ahd e qaaroon ki geer aur daar se,
apni zakHmi mohabbat bachaa laayaa hoon

AkHtarul Imaan

Comments

Popular Posts