apne tain to har ghari gam hai, alam hai, dagh hai
yad kare hamain kabhi kab ye tujhe dimagh hai

ji ki khushi nahin giro sabz-o-gul ke hath kuch
dil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bagh hai

kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diya
masl-e-habab sar nagun sharam se har ayagh hai

jalate hi jalte subah tak guzri use tamam shab
dil hai k shola hai koi, shama hai ya chiragh hai

paiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujhe
umr-e-guzashta ki tarah gum hi sada suragh hai

sair-e-bahar-o-bag se ham ko maf kijiye
us k khayal-e-zulf se dard kise faragh hai ?



Khwaajaa Meer Dard

Comments

Popular Posts