Aur baazaar se kyaa le jaaoon,
pahli baarish ka mazaa le jaaoon

ghar mein saamaa.n to ho dilchaspi kaa,
haadisaa koi uThaa le jaaoon

ik diyaa der se jaltaa hogaa,
saath thoDi si hawaa le jaaoon

roz kahtaa hai hawaa ka jhonkaa,
aa tujhe door uDaa le jaaoon

aaj phir mujh se kahaa dariyaa ne,
kyaa iraadaa hai bahaa le jaaoon

jeb mein kuch to rahegaa ''Alvi''
laao tum sab ki duaa le jaaoon

Mohammad Alvi

Comments

Popular Posts