subah main kahaan rahaa hoon,
khwaabon hi men sarf ho chukaa hoon,
sab mere bagair mutmain hain,
main sabke bagair jee raha hoon,
kya hai jo badal gayi hai duniyaa,
main bhi to bahut badal gaya hoon,
go apne hazaar naam rakh loon,
par apne siwaa main aur kya hoon,
main jurm ka aitraaf karke,
kuch aur hai jo chupaa gaya hoon,
main aur faqat usi ki khwaaish,
akhlaaq men jhooth bolta hoon,
ik shakhs jo mujhse waqt lekar,
aaj na aa sakaa to khush hua hoon,
har shakhs se beniyaaz ho jaa,
phir sab se keh ke main khudaa hoon,
cheer ke to tujhe diye hain maine,
par khoon bhi main hi thookta hoon,
royaa hoon to apne doston men,
par tujhse to hans ke hi milaa hoon,
ae shakhs, main teri justjoo se,
bezaar nahin hoon, thak gaya hoon,
main shaam-o-seher ka nagmaagar tha,
ab thak ke karaahne lagaa hoon,
kal par hi rakho wafaa ki baatein,
aaj main bahut bujhaa hua hoon
Jaun Elia
Comments
Post a Comment