Baat saaqi ki na taali jaayegi,

Baat saaqi ki na taali jaayegi,
karke taubaa toD Daali jaayegi

Aate aate aayega unka khayaal,
jaate jaate bekhayaali jaayegi

besabab apni jigar koi nahi.n,
ishq ki buniyaad Daali jaayegi

fasle gul aayi junoo.n uchlaa ''jaleel'',
ab tabi'at kya sambhaali jaayegi



Jaleel Maanikpuri

Comments

Popular Posts