Deewanaa banana hai to deewanaa bana de
Varaa kahin taqdiir tamasha na bana de

Aye dekhnewaalon mujhe hans hans ke na dekho
Tum ko bhi mohabbat kahin mujh sa na bana de

Mai Dhoondh raha hu meri wo shamma kahan hai
Jo bazm ki har chiiz ko parwaana bana de

Aakhir koi soorat bhi to ho Khaanaa-e-dil ki
Kaaba nahi banta hai to but_Khaana bana de

"Behzad" har ek jaam pe ek sajdaa-e-masti
Har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaan na bana de



Behzaad Lucknowi

Comments

Popular Posts