barchhi le kar chaand nikalne walaa hai

barchhi le kar chaand nikalne walaa hai
ghar chaliye ab suraj dhalne walaa hai

manzarnaama wahi puraana hai lekin,
naatak ka unwaan badalne walaa hai

taur tarike badle narm ujaalo ne
har jugnoo ab aag ungalne walaa hai

dhoop k dar se kab tak ghar me bethoge,
suraj to har roz nikalne walaa hai

ek puraane khel khilone jaisi hai
duniyaa se ab kaun Bahelne walaa hai

dehshat ka maahol hai saari basti mein
kya koi akhbaar nikalne walaa hai

be simti ka maraa mera nanhapan
bheed k pichhey pichhe chalne wala hai

sab ko dukh se mukti milne waali hai
botal se ek dev nikalne wala hai

mehngi kaaline lekar kya kijegaa
apna ghar bhi ek din jalne wala hai

saari sadke maatam karti rehti hain,
har bachha rassi par chalne waala hai

Raahat Indori

Comments

Popular Posts