Barsaat..

In mast hawaao.n kaa ye barsaat kaa mausam,
tanhaai mein be yaar guzar jaaye to sitam hai

Shaghle maye o mahboob kaa rangeen zamaanaa,
kaalij ki khuraafaat mein kaT jaaye sitam hai

aaghaaz e jawaani ke gunaaho.n kaa taqaddus
aur daftar e be ma'ani mein dab jaaye sitam hai

jis paikar e lazzat se ibaarat hai masarrat,
wo hamdam e dairinaa bichad jaaye sitam hai

naukhaastaa mahboob kaa man choomne waale
is rut mein ye be baal o pari haaye sitam hai

Makhdoom Muhi Uddin

Comments

Popular Posts