be-qaraarii gayii, qaraar gayaa

be-qaraarii gayii, qaraar gayaa
tark-e-ishq aur mujh ko maar gayaa

vo jo aaye to Khushk ho gaye ashk
aaj Gham kaa bhii aitbaar gayaa

ham na haNs hii sake, na hii ro sake
vo gaye yaa har iKhtiyaar gayaa

aap kii zid-e-be-mahal se Kaleem
sab kii nazroN kaa aitbaar gayaa

aa gaye vo to ab ye ronaa hai
lutf-e-Gham, lutf-e-intizaar gayaa

kis maze se tere baghair “Khumar”
be jiye zindagii guzaar gayaa
Khumaar Baaraabankwi

Comments

Popular Posts