Bhulaa bhi de use jo baat ho gayi pyaare,
naye charaagh jalaa, raat ho gayi pyaare
tiri nigaahe pashemaa.n ko kaise dekhoongaa,
kabhi jo tujhse mulaaqaat ho gayi pyaare
tumhe to naaz bahut dosto.n pe tha ''jaalib'',
alag alag se ho, kya baat ho gayi pyaare
Habeeb Jaalib
Comments
Post a Comment