Bhulaa bhi de use jo baat ho gayi pyaare,
naye charaagh jalaa raat ho gayi pyaare

tiri nigaahe.n pashemaa.n ko kaise dekhoongaa,
kabhi jo tujhse mulaaqaat ho gayi pyaare

naa teri yaad, naa duniyaa ka ghum na apnaa kHayaal
ajeeb soorate haalaat ho gayi pyaare

udaas udaas hain sham'e.n bujhe bujhe saaghar,
ye kaisi shaame kHaraabaat ho gayi pyaare

kabhi kabhi teri yaado.n ki saa.nwli rut mein,
bahe jo ashk to barsaat ho gayi pyaare

wafaa kaa naam naa legaa koi zamaane mein,
hum ahle dil ko agar maat ho gayi pyaare

tumhe to naaz bahut dosto.n pe thaa ''Jaalib'',
alag alag se ho, kyaa baat ho gayi pyaare

Habeeb Jaalib

Comments

Popular Posts