Chaand mehmaan mere makaan main tha

Chaand mehmaan mere makaan main tha
Main khuda jaane kis jahaan main tha

Ek kali muskara ke phool hui

Ye kasida bhi teri shaan main tha

Dilli walon ko kyun suna aaye

Sher to lukhnowi zabaan main tha

Dhoop ki ek kiran bhi sah na saka

Wo parinda jo aasman main tha

Hu ba hu tumse milta julta hua

Ek chehra hamare dhyaan main tha 


Raahat Indori 

Comments

Popular Posts