DarakHt sookh gaye, ruk gaye nadi naale
ye kis nagar ko rawaanaa hue gharo.n waale

kahaaniyaa.n jo sunaate the ahde raftaa ki,
nishaa.n wo gardishe ayyaam ne miTaa Daale

main shaher shaher phiraa hoon isi tamannaa mein,
kisi ko apnaa kahoo.n, koi mujhko apnaa le

sadaa naa de kisi mahtaab ko andhero.n mein,
lagaa naa de ye zamaanaa zabaan par naale

koi kiran hai yahaa.n to koi kiran hai wahaa.n,
dilo nigaah ne kis darjaa rog hain paale

humi.n pe unki nazar hai, hami.n pe unkaa karam,
ye aur baat yahaa.n aur bhi hain dilwaale

kuch aur tujhpe khule.ngi haqeeqate.n ''Jaalib'',
Jo ho sake to kisi kaa fareb bhi khaa le

Habeeb Jaalib

Comments

Popular Posts