Dard ki duniyaa badal jaane ko hai

Dard ki duniyaa badal jaane ko hai,
dil mohabbat mein machal jaane ko hai

phir tiraa ghum kaar farmaa chaahiye !
Phir tabi'at kuch sa.nbhal jaane ko hai

Kyaa tiri chashm e fasoo.n gar kah gayi,
phie tiri hasrat machal jaane ko hai

''Faani'' israar e ghum e fardaanaa pooch,
waa'daa fardaa bhi Tal jaane ko hai

Faani Budaayuni

Comments