deed o dil mein koi husn bikhartaa hi raha

deed o dil mein koi husn bikhartaa hi raha
laakh pardo mein chhupa koi sanwartaa hi raha

roshni kam na hui waqt k turaano mein.
dil ke dariyaa mein koi chaand utartaa hi raha

raaste bhar koi aahat thi ki aati hi rahi.
koi saayaa mere baazu se guzartaa hi raha

mit gaya par, teri baaho ne sameta na mujhe
shahar dar shahar main galio mein bikharta hi raha

lamha lamha rahe aankho.n mein andhere lekin
koi suraj mere seene mein ubhartaa hi raha


Jaa.N Nisaaar Akhtar

Comments

Popular Posts