Deewaangi se, dosh pa zunnaar bhi nahi.n,
ya'aani humaari jeb mein ik taar bhi nahi.n

dil ko niyaaz e hasrat e deedaar kar chuke,
dekhaa to hum mein taaqat e deedaar bhi nahi.n

milnaa tiraa agar nahi.n aasaa.n,to sahel hai
dushwaar to yehi hai,ke dushwaar bhi nahi.n

be ishq umr kaT nahi.n sakti hai aur yaa.n,
taaqat ba qadr e lazzat e aazaar bhi nahi.n

shoreedgi ke haaTh se, hai sar wabaal e dosh,
sahraa mein aye kHudaa koi deewaar bhi nahi.n

gunjaaish e adaawat e aghiyaar ik taraf,
yaa.n dil mein, zof se, hawas e yaar bhi nahi.n

Dar naalaahaa e zaar se mere, Khudaa ko maan,
aakHir nawaa e murg e giraftaar bhi nahi.n

dil mein hai yaar ki saf e mishgaa.n se rookashi,
halaanki taaqat e kHalish e kHaar bhi nahi.n

is saadgi pe koun naa mar jaaye, aye kHudaa,
laDte hain aur haaTh mein talwaar bhi nahi.n

dekhaa ''Asad'' ko kHalwat o jalwat mein baarhaa,
deewaanaa gar nahi.n hai to hoshiyaar bhi nahi.n

Mirzaa ''Ghaalib'' ''Asad''

Comments

Popular Posts