Dharam ki baansuri se raag nikle

Dharam ki baansuri se raag nikle
vo sooraakhoN se kaale naag nikle


Rakho Dair o Haram ko ab muqaffal

Kayi paagal yahan se bhaag nikle


Wo ganga jal ho ya ho aab-e-zam zam..

Yeh wo paani hain jinse aag nikle


Khuda se le liya jannat ka waada..

Yeh Zaahid to bade hi ghaag nikle


Hai aakhir aadmiyat bhi koi shey

Tere darbaan to "Bull Daagh" nikle


Yeh kiya andaaz hai ae nukta cheeno

Koi tanqeed to bey laag nikley

Pilaaya tha hameiN amrit kisi ne

Magar munh se lahu k jhaaag nikle


Jaun Elia

Comments

Popular Posts