Dhoop uthaata hoon k ab sar pa koi baar nahin

Dhoop uthaata hoon k ab sar pa koi baar nahin
Beech deewaar hai aur saaya-e-deewaar nahin

Shehr ki gasht mei hain Subh’h sey saarey Mansoor
Ab tou Mansoor wohi hai jo sar-e-daar nahin

Mat suno mujh sey jo aazaar uthaaney hongey
Ab k aazaar yeh pheila hai k aazaar nahin

Sochta hoon k bhala umr ka haasil kia tha
Umr bhar saans liye aur koi ambaar nahin

Jin dukaanon ney lagaaye thay nigah k bazaar
Unn dukaanon ka yeh rona hai k bazaar nahin

Ab wo haalat hai k thak kar,Main Khuda ho jaaon
Koi dildaar nahin, Koi dil aazaar nahiN

Mujhsey tum kaam na lo,Kaam mein laao mujhko
Koi tou shehr mein aesa hai k beykaar nahin

Yaad Ashoob ka aalam tou wo aalam hai k ab
Yaad maston ko teri yaad bhi darkaar nahin

Waqt ko sood pey dey aur na rakh koi hisaab
Ab bhala kaisa ziyaan , koi khareedaar nahin


Jaun Eliaa

Comments

Popular Posts