Dil ki baat labo.n par laakar ab tak hum dukh sahte hain,
humne sunaa thaa is basti mein dilwaale bhi rahte hain

beet gayaa saawan kaa maheenaa, mausam ne nazre.n badli.n,
lekin in pyaasi aankho.n se ab tak aansoo bahte hain

ek hume.n aawaaraa kahnaa koi baDaa ilzaam nahi.n,
duniyaawaale dilwaalo.n ko aur bahut kuch kahte hain

jinki khaatir shaher bhi chhoDaa, jinke liye badnaam hue
aaj wahi humse begaane begaane se rahte hain

wo jo abhi is rahguzar se chaak garebaa.n guzraa thaa,
Us aawaaraa deewaane ko Jaalib Jaalib kahte hain

Habeeb Jaalib

Comments

Popular Posts