dil! mat tapak nazar se ki paaya na jaayega
Ju ash phir zami se uthayaa na jaayega


rukhshat hain baghbaan ki tuk ek dekh le chaman
jaate hain vaa, jaha se phir aaya na jaayega

tege zafaa e yaar se dil ! sar na ferio
phir mooh wafaa ko ham se dikhaaya na jayega

zaalim main keh raha tha ki tu is khu se darguzar
"Sauda" k katl hain ye, chhuapaaya na jaayega

Comments

Popular Posts