Dil mein kyaa mehrbaa.n nahi.n hoti,
baat kahne mein haa.n nahi.n hoti
baDh gayaa tujhse wo sitam ijaad,
sharm aye aasmaa.n nahi.n hoti
...
jis tarah qaul ke hain wo sachche,
mere mu.nh mein zabaa.n nahi.n aati
hai tabi'at bhi apni harjaayi,
Kis jagah, ye kahaa.n nahi.n aati
jal ke dil kHaak ho gayaa shaayad,
boo aye soze nihaa.n nahi.n aati
go balaa hai mufaarqat teri,
nahi.n aati, jahaa.n nahi.n aati
bekHudi mein kahaa tha usne haal,
yaad wo daastaa.n nahi.n aati
hai nazaakat bhari khabar unki,
Ke wahaa.n se yahaa.n nahi.n aati
''Daagh'' hi jaantaa hai tarze wafaa,
Tumko aye mehrbaa.n nahi.n aati
Daagh Dahelwi
Comments
Post a Comment