Do javaan dilo ka Gham, duriyan samajhti hai

Do javaan dilo ka Gham, duriyan samajhti hai
kaun yaad karta hai, hichkiyan samajhti hai


Tum to Khud hi qaatil ho, tum ye baat kya jaano
kyon hua main divaanaa, bediiyaan samajhti hai

Baam se utarti hai jab haseen doshizaa
Jism ki nazaakat ko, siidiiyaan samajhti hai

Yun to sair-e-gulshan ko, kitne log aate hai
Phuul kaun torega Daaliyan samajhti hai

Jisne kar liya dil me pehli baar ghar 'Daanish'
Usko meri aankhon ki putliyaan samajhti hai


Daanish Aligarhi

Comments

Popular Posts