Fareb E Aarzoo

Sandaleen paikar tumharey baaz'on k darmyan...
... fareha ka gham bhulaney k liye aaya hon mein...

zindagi ki ik haqeeqat ko tumharey rubaru...
aik afsana bnaney k liye aaya hon mein...

fareha ki yaad merey hafazey sey cheen lo...
apna sarmaya lutaney k liye aaya hon mein...

intqaman chahiye ab mujh ko ik haal_e_tarb...
aaj tanzan muskuraney k liye aaya hon mein...

ab to har naqsh_e_khayali ko mitana hai mujhey...
ab to sab kuch bhool janey k liye aaya hon mein...

kar k tameer aik but khana bra_e_bandagi...
kaaba_e_nikhwat dhaaney k liye aaya hon mein...

ab to bas tum ho faqat tum ! fareha kuch b nhi...
tum ko seeney sey lgaaney k liye aaya hon mein...

meri khush manzar jwaani b to koi cheez hai...
tum sey is ki daad paaney k liye aaya hon mein...

raayegaan ab tak gaye merey sukhan k mojzey...
taaza ijaazi dikhaney k liye aaya hon mein...

kaash tum meri jabeen ko choom lo ! han choom lo...
matla_e_fan jagmaganey k liye aaya hon mein..

tum sey b shayad mujhey gham ka atyaa hi miley...
phir b taaza zakham khaaney k liye aaya hon mein...

shaakh_e_dil ko lamha lamha ik namu to chahiye...
zindagi ko ik faraib_e_aarzu to chahiye...
Jaun Eliaa

Comments

Popular Posts