Fariyaad ki koi lai nahi.n hai,
naalaa paaband e nai nahi.n hai

kyun bote hain baaghbaan too.nbe,
gar baagh gadaa e mai nahi.n hai

har chand har ek shaiy mein tu hai,
par tujhsi to koi shaiy nahi.n hai)

Ha.n, khaaiyo mat fareb e hasti,
har chand kahe.n,ke hai, nahi.n hai

shaadi se guzar ke ghum naa howe,
urdi jo naa ho to daiy nahi.n hai

kyun rad'de qadah kare hai, zaahid,
maiy hai ye magas ki qaiy nahi.n hai

hasti hai, naa kuch adam hai, Ghaalib,
aakHir tu kyaa hai, ay, nahi.n hai

Mirzaa Ghaalib

Comments

Popular Posts