Fikr e anjaam naa aaghaaz kaa kuch hosh rahaa,
chaar din tak to jawaani kaa ajab josh rahaa

main qafas mein bhi kisi roz naa khaamosh rahaa,
kashmakash mein bhi tabi'at kaa wahi josh rahaa

nashshaaye ulfat e saaqi kaa ajab josh rahaa,
haule sahraaye qayaamat bhi faraamosh rahaa

ghair hoin jir'a kashe bazme tamannaa afsos,
kHoon ke GHoont main peetaa rahaa kHaamosh rahaa

''hee.nch aafat nar sar goshiyaa sanhaayi raa''
dasht e ghurbat mein main ye soch ke rooposh rahaa

mausam e gul ki hawaa daarowe behoshi thi,
sar uThaane kaa bhi sabze jo naa kuch hosh rahaa

nikhat e gul ki tarah jaamai se baahar hoongaa,
fasle gul kaa jo gulistaa.n mein yahi josh rahaa

bahr e rahmat mein bahut hogaa talaatum barpaa,
tujh ko aye ashk e nadaamat jo yahi josh rahaa

apne sar se bhi kisi roz guzar jaayega,
aab e shamsheer ko qaatil jo yahi josh rahaa

saayaa e daaman e qaatil mein jo neend aayi mujhe,
phir to karwaT bhi badalne kaa naa kuch hosh rahaa

dhoom suntaa rahaa ab aate hain,ab aate hain,
hashr tak main yoo.nhi khole hue aaghosh rahaa

door kheenchti hi gayi manzil e maqsood magar,
rahrawe isha ki himmat kaa wahi josh rahaa

rahmat e haq rahi hum aasiyo.n oar saayaa fagan
sar pe chhaayaa huwaa ik abr e kHataa posh rahaa

uThte uThte thi wahi bazm ki mastaanaa rosh,
chalte chalte bhi khum e mai ko wohi josh rahaa

phir gayi.n aankhe.n miri koochaaye jaanaa.n ki taraf,
shukr hai marte dam itnaa to mujhe hosh rahaa

Mirzaa Yaas Yaagaanaa Changezi

Comments

Popular Posts