Gaahe gaahe bas ab yahi ho kyaa,
tum se mil kar bahut khushi ho kyaa
mil rahi ho baDe tapaak ke saath,
mujh ko yaksar bhulaa chuki ho kyaa
...
yaad hain ab bhi apne khwaab tumhe.n,
mujh se mil kar udaas bhi ho kyaa
bas mujhe yu.n hi ik khayaal aayaa,
sochti ho to sochti ho kyaa
ab meri koi zindagi hi nahi.n,
ab bhi tum meri zindagi ho kyaa
kya kahaa ishq jaavidaani hai,
aakHiri baar mil rahi ho kyaa
haan fazaa yaa.n ki soyi soyi si hai,
to bahut tez raushni ho kyaa
mere sab tanz be asar hi rahe,
tum bahut door jaa chuki ho kyaa
dil mein ab soze intizaar nahi.n
sham'aa e umeed bujh gayi ho kyaa
Is samandar pe tishna kaam hoon main,
baan, tum ab bhi bah rahi ho kyaa
Jaun Eliaa
Comments
Post a Comment