Gesu e taabdaar ko aur bhi taabdaar kar,
hosho kHirad shikaar kar qalbo nazar shikaar kar

ishq bhi ho hijaab mein, husn bhi ho hijaab mein
Yaa to kHud aashkaar ho yaa mujhe aashkaar kar

tu hai muhote bekaraa.n, main hoon zaraa si aab e joo
yaa mujhe humkinaar kar, yaa mujhe bekinaar kar

baagh e bahisht se mujhe hukm e safar diyaa thaa kyun,
kaar e jahaan daraaz hai ab meraa intizaar kar

roz e hisaab jab meraa pesh hi daftar e amal,
aap bhi sharmsaar ho mujhko bhi sharmsaar kar

Allaamaa Iqbaal

Comments

Popular Posts