Gilaa nahi.n hai hume.n apni jaa.ngudaazi ka,
Gilaa nahi.n hai hume.n apni jaa.ngudaazi ka,
jigar pe zakHm hai usk zabaa.ndaraazi kaa
kHudaa ko kaam to saunpe hain maine sab lekin,
rahe hai kHauf mujhe waa.n ki beniyaazi kaa
chalo ho raahe muwaafik kahe mukHaalif ke,
tareeq chhoD diyaa tumne dilnawaazi ko
Kisoo ki baat ne aage mire na paayaa rang,
dilo.n mein naqsh hai meri sukHantaraazi ka
basaane kHaak ho paamaale raahe kHalq aye Meer,
rakhe hai dil mein agar qasd sarfaraazi kaa
Meer Taqi Meer
Comments
Post a Comment