Go ke butkHaane jaa rahaa hoon main,

Go ke butkHaane jaa rahaa hoon main,
bakHudaa baakHudaa rahaa hoon main

sab gaye dil, damaagho taabo tawaa.n,
main rahaa hoon so kya rahaa hoon main

barq to main na thaa ke jal bujhtaa,
abre tar hoon ke chhaa rahaa hoon main

kuch rahaa hi nahi.n hai mujh mein ''Meer'',
jab se usse judaa rahaa hoon main

Meer Taqi Meer

Comments

Popular Posts