Haal e dil kis umeed par kahiye

Haal e dil kis umeed par kahiye,
jab tumhe aitbaar hi naa rahaa

beqaraari kahaa.n ke dil hi nahi.n,
haaye wo beqaraar hi naa rahaa

dil ki ab rok Thaam koun kare,
zabt par ikhtiyaar hi naa rahaa

Ab koi aarzoo nahi.n ''Faani'',
dil e umeedwaar hi naa rahaa

Faani Budaayuni

Comments