Hai tahe dil buto.n ko kya maaloom,
nikle parde se kya khudaa maaloom
yahi jaanaa ke kuch na jaanaa haay
so bhi ik umr mein hua maaloom
...
ilm sabko hai ye ke sab tu hai
phir hai Allaah kaisaa naamaaloom
garche tu hi hai sab jagah lekin
humko teri nahi.n hai jaa maaloom
ishq hai aye tabeeb ji ka rog,
lutf kar hai jo kuch dawaa maaloom
dil bajaa ho to ''Meer'' kuch khaave,
kuDne pachne mein ishtahaa maaloom
Meer Taqi Meer
Comments
Post a Comment