har baar mere saamnay aati rahi ho tum..........

har baar mere saamnay aati rahi ho tum
har baar tum say mil kay bicharta raha hon main
tum kon ho yeh khud bhi nahi janti ho tum
main kon hon yeah khud bhi nahi janta hoon main
tum mujh ko jaan kar hee parhi hoo azaab mein
... aur iss tarhaan khud apni saza ban gaya hon main

tum jis zameen par ho mein uss ka khuda nahi
puss sar basar azeeyat o aazaar hi raho
bay'zaar ho gai ho bahot zindagi say tum
jab bus mein kuch nahi hai tu bayzaar hi raho
tum ko yahaan kay saya o par'to say kya gharaz
tum apnay huq mein beech ke divaar hi raho

mein ibtada e ishq say bay mehar hi raha
tum intaha e ishq ka mayaar hi raho
tum khoon thookti ho, yeah sun kar khushi hoi
iss rung iss ada mein bhi pur'kar he raho

mein nay yeh kab kaha tha mohabbat mein hai nijaat
mein nay yeah kab kaha tha wafadar he raho
apni mata'e naaz luta kar mairay liyeah
bazar e iltafaat mein nadaar hi raho

jab mein tumhain nishaat e mohabbat na day saka
gham mein kabhi sakoon e rafaqat na day saka
jab mere sab chiragh e tamanna hawa kay hain
jab mere saray khawb kissi bay'wafa kay hain
phir mujh ko chahnay ka tumhain koi haq nahi
tunha karhanay ka tumhain koi haq nahi


Jaun Eliaa

Comments

Popular Posts