har chand beniyaaz hai mujhse magar na jaa

har chand beniyaaz hai mujhse magar na jaa
yun mujhko chhor kar mere jaan'e nazar na jaa


jaa.n aa gayi hai meri labo par zara thehar
pal bhar k waaste bhi idhar se udhar na jaa


tu dekh hi chukaa hai meri haalat'e zabu.n
hai kisi khoo.nfisha.n yeh meri chashm'e tar na jaa


hain mutzir teri nigaah waapsi meri
aye aakhir umeed visaal'e nazar na jaa 



Ameer Khusro

Comments

Popular Posts