Har ek chehare ko zakhmon kaa aa_iinaa na kaho,

Har ek chehare ko zakhmon kaa aa_iinaa na kaho,
ye zindagii to hai rahamat ise sazaa na kaho..

Na jaane kaun sii majaburiyo.n kaa qaidii ho,
wo saath chhod gayaa hai to bewafaa na kaho..

Tamaam shahar ne nezon pe kyuun uchhaalaa mujhe,
ye ittefaaq thaa tum is ko haadasaa na kaho..

Ye aur baat ke dushman huaa hai aaj magar,
wo meraa dost thaa kal tak use buraa na kaho..

Hamaare aib hamein ungaliyon pe ginvaao,
hamaarii peeth ke peechhe hamein buraa na kaho..

Main waqiyaat kii zanjeer kaa nahin qaayal,
mujhe bhi apne gunaahon ka silsilaa na kaho..

Ye shehar wo hai jahaan raakshas bhii hai "Rahat"
har ek taraashe huye buut ko devtaa na kaho........

Raahat Indori

Comments

Popular Posts