Hui hai shaam to aankhon mein bas gaya phir tu
kahan gaya hai mere shehar k musafir tu
meri misaal k eik nakh'l khushk sehra hoon
tera khayal k shaakh-e-chaman ka taa'ir tu
main jaanta hoon k duniya tujhe badal de gi
main maanta hoon k aisa nahi ba-zahir tu
hansi khushi se bichar jaa agar bicharna hai
ye her maqaam pe kiya sochta hai aakhir tu
fiza udaas hai, rut muzmahil hai main chup hoon
jo ho sakay to chala aa kisi ki khatir tu
Faraz tu ne usay mushkilon mein daal diya
zamana sahib-e-zar aur sirf shayar tu
Ahmad Faraz
Comments
Post a Comment