Humko nazro.n se giraane waale,
DhoonDh ab naaz uThaane waale

chhoD jaayenge kuch aisi yaade.n,
royenge humko zamaane waale

rah gaye naqsh humaare baaqi,
miT gaye humko miTaane waale

manzile gul kaa pata dete hain,
raah mein kHaar bichhaane waale

in zameeno.n pe guhar barsenge,
aise kuch abr hain chhaanewaale

dekh wo subah ka sooraj niklaa,
muskuraa ashk bahaanewaale

aas mein baiThe hain jinki ''Jaalib'',
wo zamaane bhi hain aanewaale

Habeeb Jaalib

Comments

Popular Posts