Ibn e mariyam huaa kare koi,
mere dukh ki dawaa kare koi

shar e aain par madaar sahi,
aise qaatil kaa kyaa kare koi

chaal, jaise kaDi kamaan kaa teer,
dil mein aise ke jaa kare koi

baat par waa.n zabaan kaT'ti hai,
wo kahe.n aur sunaa kare koi

Bak rahaa hai junoo.n meun kyaa kyaa kuch,
kuch naa samjhe kHudaa kare koi

naa suno gar buraa kahe koi,
naa kaho gar buraa kare koi

rok lo gar ghalat chale koi,
bakHsh do gar kHataa kare koi

koun hai jo nahi.n hai haajatmand,
kis ki haajat rawaa kare koi

kyaa kiyaa kHizr ne sikandar se,
ab kise rahnumaa kare koi

jab tawaqqo hi uTh gayi, Ghaalib,
kyun kisi kaa gilaa kare koi

Mirzaa Ghaalib

Comments

Popular Posts