idhar se abr uThakar jo gayaa hai

idhar se abr uThakar jo gayaa hai
hamaarii Khaak par bhii ro gayaa hai

masaaib aur the par dil kaa jaanaa
ajab ik saanihaa saa ho gayaa hai

muqaamir-Khaanaa-e-aafaaq wo hai
ke jo aayaa hai yaa.N kuchh kho gayaa hai

sarahaane 'Meer' ke aahistaa bolo 
abhii Tuk rote rote so gayaa hai


Meer Taqi Meer

Comments

Popular Posts