Jaane waale iztaraabe dil nahi.n,
ye taDap taskeen ke qaabil nahi.n

jaan de denaa to kuch mushkil nahi.n,
jaan ka khwaahaa.n magar aye dil nahi.n

tujh se khush chasm aur bhi dekhe magar,
ye nigaah, ye putliyaa.n ye til nahi.n

rahte hain bekhud jo tere ishq mein,
wo bahut hoshiyaar hain ghaafil nahi.n

hijr mein dum ka nikalnaa hai muhaal,
aap aa nikle to kuch mushkil nahi.n

aaeye hasrat bhare dil mein kabhi,
kya ye mahfil aap ki mahfil nahi.n?

Zaamin Ali ''Jalaal''

Comments

Popular Posts