Jab jawaani ka mazaa jaataa rahaa,
zindagaani kaa mazaa jaataa rahaa
wo qasam khaate hain ab har baat,
badgumaani ka mazaa jaataa rahaa
...
daastaane ishq jab Thahri ghalat,
phir kahaani kaa mazaa jaataa rahaa
khwaab mein teri tazalli dekh li,
lantraani ka mazaa jaataa rahaa
dard ne uTh kar, uThaayaa bazm se,
naatawaani kaa mazaa jaataa rahaa
ghair par lut'fo karam hone lagaa,
mehrbaani ka mazaa jaataa rahaa
aap ab apne nigahbaa.n ban gaye
paasbaani ka mazaa jaataa rahaa
naamaabar ne tay kiye saare payaam,
mu.nh zabaani ka mazaa jaataa rahaa
miT gayi ab ''Daagh'' furqat ki jalan,
is nishaani ka mazaa jaataa rahaa
Daagh Dahelwi
Comments
Post a Comment