Jadaa-e-fan me bade sakht muqaam aate hai

Jadaa-e-fan me bade sakht muqaam aate hai
Mar ke rah jaata hai fankaar amar hone tak 

kitne Ghaalib the jo paida hue aur mar bhi gaye
Qadradan ko takhallus ki khabar hone tak

Kitne iqbaal rah-e-fikr me uthe lekin
Raasta bhool gaye Khatm-e-safar hone tak

kitne shabbiir hasan khan na bane josh kabhi
Mar gaye kitne sikander bhi jigar hone tak 

Faiz rang bhi ashaar me aa sakta tha
ungliyaan saath to de Khoon me tar hone tak

Chand zarron hi ko milati hai ziyaa-e-Khurshid
Chand taare hi chamakte hain sahar hone tak

Dil-e-shaayar pe kuch aisi hi guzarati hai 'figaar'
Jo kisi qatre pe guzre hai guhar hone tak 


Dilaawar Figaar

Comments

Popular Posts