Jeena humein aslaa nazar apna nahi aata....
'Gar aaj bhi wo rashq-e-maseeha nahi aata.....

Mazkoor teri bazm mein kiska nahi aata.....
Par zikr hamara nahi aata, nahi aata.....

Deta dil-e-muztar ko teri kuch to nishaani,
Par khat bhi tere haath ka likkha nahi aata.....

Kya jaane vehem hai kya use meri taraf se,
Jo khwaab mein bhi raat ko tanha nahi aata.....

Aaya hai dum aankho.n mein dum-e-hasrat-e-deedar,
Par lab pe kabhi harf-e-tamanna nahi aata.....

Main jaata jahaa.n se hu.n, tu aata nahi yhaa.n tak,
Kaafir tujhe kuch khauf khuda ka nahi aata...





Sheikh Ibraaheem "Zauq"

Comments