Ji dekhaa hai, mar dekhaa hai
humne sab kuch kar dekhaa hai

barge aawaaraa ki soorat,
range kHushko tar dekhaa hai

Thandi aanhe.n bharne waalo,
Thandi aahe.n bhar dekhaa hai

tiri zulfo.n kaa afsaanaa,
raat ke honTo.n par dekhaa hai

apne deewaane kaa aalam,
tumne kab aakar dekhaa hai

anjum ki kHaamosh fizaa mein,
maine tumhe aksar dekhaa hai

humne is basti mein ''Jaalib'',
jhooT ka oonchaa sar dekhaa hai

Habeeb Jaalib

Comments

Popular Posts